Ek sabdh prarthana ka shroth ban jaata hai,
Tho kahin lakshya ki dhaara ban jaata hai
Ek hasi udaasi ko dur bhaga le jaati hai,
Aur ek muskurahat ek dosti ki suruaat kar jaata hai,
Ek haath ka aalingan humari aatma ko chu jaata hai,
Aur humhe vishwas dilata hai ki koi humari parvah karta hai
Ek awaaz gyan ka kendra ban jaata hai
Aur humare dil ko sach-jhoot mein fark bata jaata hai
Ek geet chingari ban jaata hai, tho ek vote rastra ki taqdeer badal deta hai
Ab ye to manushya ki soch hai, prakriti mein bhi kuch aisa hota hai!!
Ek phool sapna jaga jata hai, aur ek pedh ek jangal ki suruaat karta hai,
Ek pakshi ki vaani vasant ka sutrpaath ban jaati hai, tho ek sitara jahaaj ko samudra mein raah diklata hai,
Jahan ek mombatti aur ek sooraj humko roshni de jata hai,
Vahin who roshni humko aakhand vishwas de jata hai
Antatah: ek jeevan parivartan la sakta hai
Ab apko aur hume yeh koshih karni hai, dikhla dena hai ki…woh jeevan humara ho sakta hai, humara ho sakta hai!!
-----Abhilash